
Zindagi ke is safar me,
bs chalna hi seekha hai.
Chahe ho kisi ka saath ya na,
Bs chalna hi seekha hai.
Parindo, ne bhi mujhe yehi sikhaya h,
Bs udte rho,
Udte rho,
Khushiyan batorte rho.
In khushiyon ko bs dhage ki tarah lapeta rho,
Chahe bn jaye kbhi, vo dor fanda hi kyu na ..
Udna hi seekha hai hmesha, unhone bhi !
Saathi mayene nhi rakhte,
Un rishton ki khushiya mayene rkhti hai,
Unka bitaya hua ek ek pal mere sath..
mayene rkhte h?
Unka bitaya, hr ek pal mayene rkhte hai,
Jinhe hm saalo se bunnte chle ja rhe the,
Aage chal ke ye dhage tutenge kabhi,
kisko pta tha?
Hn lekin,
Dusre rango ke bhi to dhake hote hai na?
Unhen kyu nhi apni zindgi ki khushiyon me shamil karte ho?
Raaste mayene nhi rakhte hai, vse bhi..
Un rasto me bitaye pal mayene rkhte hai
Anginat pal,
Anginat khushiyaan,
Kbhi kbhr vo maleen raate,
Kbhi kbhr vo vileen raaste,
Bekhabar apne hi kadmo se…
Humne to bs khushiyaan batorna seekha hai,
Chahe ho kitne hi q katheen rastein…
Inhi kadmo ne kaafi kuch sikhaya bhi h
Seekh bhi kaafi mili h inse…
Lekin, zindagi ke in parindo ne khone ke mayene bhi shikhaye hai.
Chlo,
Bs jee le is zindagi ko,
Aadhi adhuri ya ho puri aadhi.
Bs jee le is zindagi ko !
Zindagi ka naam hi hai chlna,
Bs chalte rho, udte rho.
Ja ud chal apne hi dhuun me,
Ho raat ya savera, bs chalte chl,
Zindagi ka naam hi hai chlna, bs chalte chl..
(20/09/20)
Happy reading !🙃